Thursday, May 7, 2009

kuchh yu hi....

Har waqt jehan me kuchh na kuchh chalta hai…kya ise hi vichaar kehte hain..? agar haan to chalo aaj apne vichaar kahen jayen…
Bahut azeeb lagte hain mujhe vo log jo eshwar ki vyakhaya karte hain ya khud ko is kabil samajhte hain ki bata sake ki eshwar kya hai , kaun hai…kya sach me koi insaan itna kabil ho sakta hai…??hahaha aur usse bhi dayeneeye lagte hain vo log jo kehte hain ki hamara nazariya sahi hai tumhara galat..! hahaha…. Kya sach me bhagwaan ko jarurat hai kisi vyakhaya ki..? kya sach me kisi bhi panth ka koi bhi eshwar chahta hai ki koi uski vyakhaya kare…? Eshwar ko samajh sake itni khoobsoorti hai kahan kisi samajh me. Aur jinme ye sunderta eshwar ne di , logo ne unke naam se hi naye eswar bana liye..hahaha.
Eshwar nirakar hai..pata hai..to..?? arre to saakaar ki stuti kyuu…? Ye bhi azeeb hai ..par ek baat jo maine jani hai vo ye ki kisi bhi nirakaar ko jaanne ke liye bhi eshwar ne ye saakar tan hi banaya hai.! Varna nirakaar aatma ke hote saakaar tan ki jarurat kyuu hui.? Is hisaab se saakaar nirakaar tak pahuchne ka sadhan hai…jaise hawa ko mehsoos karne ke liye twacha , sangeet tak pahunchne ke liye tabla aur apne vichar kehne ke liye ye computer blog..hahaha..sab kuch saakaar hai…to kya bura hai…sahi hai bhai..! lo ho gayi ek aur vyakhaya…hahaha !