Tuesday, June 23, 2009

मत जाओ माँ---


वक्त है ये कैसा….
ये कैसा धुआं है…
पिघलती बर्फ से…..
मैं जमी जाती हूँ…
आँखें बंद करके..
लेटती हूँ जैसे ही….
चीत्कार सुन….
काँप जाती हूँ….
कोई तो है जो….
सिसक रहा है…
कहाँ से ये आवाज़ आती है..
पागलो सी ढूंढती हूँ…
यहीं कहीं कोई….
मातम कर रहा था…
सच में….
कोई था….
ह्रदय को उसकी …
तीस सालती है…
पर दीखता नही कोई….
बियावान वन सा….
मेरा अस्तित्व….
खोजता है उसे….
जैसे बिखरे बालो में ….
कोई दार्शनिक ढूंढता है..
अपनी कविता का शीर्षक…
पर कोई नही दीखता….
मैं निरीह सी….
बिस्तर पर गिर….
ख़ुद को समझाती हूँ….
ऐसा ही होता है….
जब आसमा ….
सर से सरकता है….
और ज़मी जाने को होती है…

Thursday, May 7, 2009

kuchh yu hi....

Har waqt jehan me kuchh na kuchh chalta hai…kya ise hi vichaar kehte hain..? agar haan to chalo aaj apne vichaar kahen jayen…
Bahut azeeb lagte hain mujhe vo log jo eshwar ki vyakhaya karte hain ya khud ko is kabil samajhte hain ki bata sake ki eshwar kya hai , kaun hai…kya sach me koi insaan itna kabil ho sakta hai…??hahaha aur usse bhi dayeneeye lagte hain vo log jo kehte hain ki hamara nazariya sahi hai tumhara galat..! hahaha…. Kya sach me bhagwaan ko jarurat hai kisi vyakhaya ki..? kya sach me kisi bhi panth ka koi bhi eshwar chahta hai ki koi uski vyakhaya kare…? Eshwar ko samajh sake itni khoobsoorti hai kahan kisi samajh me. Aur jinme ye sunderta eshwar ne di , logo ne unke naam se hi naye eswar bana liye..hahaha.
Eshwar nirakar hai..pata hai..to..?? arre to saakaar ki stuti kyuu…? Ye bhi azeeb hai ..par ek baat jo maine jani hai vo ye ki kisi bhi nirakaar ko jaanne ke liye bhi eshwar ne ye saakar tan hi banaya hai.! Varna nirakaar aatma ke hote saakaar tan ki jarurat kyuu hui.? Is hisaab se saakaar nirakaar tak pahuchne ka sadhan hai…jaise hawa ko mehsoos karne ke liye twacha , sangeet tak pahunchne ke liye tabla aur apne vichar kehne ke liye ye computer blog..hahaha..sab kuch saakaar hai…to kya bura hai…sahi hai bhai..! lo ho gayi ek aur vyakhaya…hahaha !

Thursday, March 26, 2009

miss u ....papa

Hath uthe hain mere kyuu ye dua ke baad…
Arz hoti hai guzarish kyuu sazde ke baad…

Khatm hoti nahi kyuu meri tarz`e gham tanha…
Nigahen khojti hain kisko har fateh ke baad…

Tera sath , vo tera hath tham ke chalna…
Zazb hoga kahan tak tu bata rooh ke baad….

Hai tu mujh me , mere katra `e lahoo me…
Hoke magroor chalu main is khayaal ke baad..!!

Ya khuda tu hi hai mana muhafiz roohon ka…
Bana deta hai kyuu ye zism jindgi ke baad…!!

Cheer ke jati hai kya meri sada aasmaa ko…
Kaash..! aata koi jawaab is sawaal ke baad…!!

Monday, January 19, 2009

Os


Hairaan ho kar jab khud ko dekhti hu
Aaine ke saamne tumko dekhti hu
Kaun hai……
Rooh ban ke utarta,
Jism banke sawarta….
Roz khudko samjhati hu…
Naadaan hai tu…koi nahi ,
Koi nahi jo ab…
Yahan tak pahuch sake….
Bedh sake is banjar , bejaan man ko…
Ek paani ki boond kya…
Dariya bhi nahi seench sakta
Ab ….is dhara ko….
Par kya karu……
Hansti hai…mujh pe rengti…
Tumhari komal fuharen…
Ponchh deti hu…kathorta se…
Baar-baar…….fir bhi
Bheeg rahi hu zaar zaar
Main os me….